Monday, November 16, 2009

kya hoon main ?

tujhe kya kahun kya hoon main
abhi toh khud nahi jaana kya hoon main

kuch sawal karne hai khudse
kuch jawab poochne hai khudse

shayad kabhi ek roshni ki lau si jaleygi
shayad kabhi khud se mulaqat milegi

kuch kehte hai pagal hoon main
kuch kehte hai abhi nadaan hoon main

girte hai kayi. sambhalte hai kayi
jis raaste ki manzil hai khuda
ussi safar ki ek musafir hoon main

2 comments:

  1. musafir, pagal, ya nadaan,
    tum kya ho naa jaane hum,
    par schizophrenia ki shikar woh zaroor ho,
    yeh ke sakhte hu hum ;)

    ReplyDelete
  2. raahon mein kaate bahut milenge..
    hum ishq mein baar baar girenge..
    ab to aapki shayari hamein bha gayi,
    esliye aapke blog mei roz ghooma firenge...

    ReplyDelete