Tuesday, November 17, 2009

koi samjhe na

koi samjhe na tanhayi kya hoti hai
khudh se bichad jane ki judayi kya hoti hai
bewafa kisi ko keh dena mushkil nahi
par wafa karke bhi badnaam hona
bewaafayi se bhi badi saza dil ko hoti hai

Monday, November 16, 2009

kya hoon main ?

tujhe kya kahun kya hoon main
abhi toh khud nahi jaana kya hoon main

kuch sawal karne hai khudse
kuch jawab poochne hai khudse

shayad kabhi ek roshni ki lau si jaleygi
shayad kabhi khud se mulaqat milegi

kuch kehte hai pagal hoon main
kuch kehte hai abhi nadaan hoon main

girte hai kayi. sambhalte hai kayi
jis raaste ki manzil hai khuda
ussi safar ki ek musafir hoon main

is that really you ??

is that really you ?

in the warm sunrays, that embrace me
giving me a friend to walk with
in the dark night, that dreads me
giving me a friend to share with
when i look around myself, all i ask is
is that really you ?

in the shadow of trees, that cover me
giving me a friend to feel protected with
in the chirping of birds, that tickle me
giving me a friend to laugh with
when i look around myself, all i ask is
is that really you ?

in the cool breeze,that blows past me
giving me a friend to smile with
in the rattling of leaves, that entertain me
giving me a friend , to giggle with
when i look around myself , all i ask is
is that really you ?

in the dark clouds, that hover above me
giving me a friend to fly with
in the lightening thunders, that scare me
giving me a friend to cry with
when i look around myself, all is ask is
is that really you ?

in the drizzling rain, that drench me
giving me a friend to dance with
in the smell of wet earth, that fills me
giving me a friend , to be home with
when i look around myself, all i ask is
is that really you ?


when i look at myself, all i ask is
is that really you ?

ehsaas

dil ke gham se shayri nikalti hai
kuch ehsaas shabd ban jaate hai
kuch ehsaas unkahe reh jaate hai
kuch ka saath zindagi chod jaati hai

tera saaya

koi dost nahi tera toh kya gham hai
bas ek haath badah aur phir dekh
saara jahan baahein phailaye tera hai
phir bhi agar tanha reh jaye kahi
bhool na jaana hum kadam saaya tera hai

kuch lamhe

kuch lamhe thea jo beet gaye
kuch lamhe hain jinke intzaar mein
zindagi beet jayegi

kuch pal thea jo hasa gaye
kuch pal hain jinke intezzar mein
hasi aansoo ban jayegi

kuch lamhe thea jo sula gaye
kuch lamhe hain jinke intezaar mein
jaagte raat beet jayegi

har alfaaz

har alfaaz ek ranjish lage
har saans ek bandish lage
kabhi khud se toh kabhi khudi se
namukamal sa har ehsaas lage

kuch afsaane

kuch kisse afsaane ban jaate hai 
kuch gham ka thikaane ban jaate hai 
kisi ko kise se pyar beshumar hai 
kisi ki pyaar se hi takraar hai 
koi karta hai laakh bahaane hasne ke
kisi ki hasi mein bhi gham ki jhankar hai

after a long time .....

kehte hai faaslon se pyaar gehra hota hai
reh jaaye jo dil mein woh yaad ka pehra hota hai
waqt ko milan aur judai ka ilzaam na do
palkon ko umeed ka jhalawa na do
iraada agar laaut aana ka hota toh
dur woh humse kabhi gya na hota